Aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n [bunanaa = to weave; sangiin daur = hard/difficult times] [Das lenaa = to bite; taa-umr = entire life] go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr Khvaabo.n ke aasare pe kaTii hai tamaam umr [tez-gaam = fleet-footed] zulfo.n ke Khvaab, ho.nTho.n ke Khvaab, aur badan ke Khvaab meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab [meraaj-e-fan = (to reach) summit of art; kamaal-e-suKhan = perfection in poetry] tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab zindaa.N ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab [tahaziib-e-zindagii = civilized life; faroG-e-vatan = nation's progress/upliftment] [zindaa.N = prison; kuuchaa-e-daar-o-rasan = road leading to the gallows] ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the ye Khvaab mar gaye hai.n to be-rang hai hayaat yuu.N hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat [amal = work; asaas = foundation; hayaat = life] [dast-e-tah-e-sang = hands crushed under a stone (helpless)] aao ki ko_ii Khvaab bune.n kal ke vaaste varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil taa-umr phir na ko_ii hasii.n Khvaab bun sake.n
Sahir Ludhianvi
Urdu Poetry Written
aao ki ko_ii Khvaab bune, urdu poetry of Sahir Ludhianvi
Sahir Ludhianvi
Urdu Poetry Written
0 Reviews:
Post Your Review