Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
aah ko chaahiye ik umr asar hone takkaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak [daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle] [sad = hundred; nahang = crocodile; gauhar = pearl] aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak [sabr-talab=patient] ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak [taGaaful=neglect/ignore] partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak [partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam=dew] [fanaa = perish; inaayat = favour] yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak [besh = excess; Gaafil = ignorant] [raqs = dance; sharar = flash/fire] Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak [juz = other than; marg = death]
0 Reviews:
Post Your Review